Wednesday, 11 November 2015

Lagi Thi Dil Mein,Bal'Aakhir Zuban Tak Aa Pohnchi, Kahan Ki Aag Thi,Lekin Kahan Tak Aa Pohnchi,


Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._Murtaza._.*

Lagi Thi Dil Mein,Bal'Aakhir Zuban Tak Aa Pohnchi,

Kahan Ki Aag Thi,Lekin Kahan Tak Aa Pohnchi,

Hawaa-E-Shauq,Meri Khaak Ko Urra Laa'ee,

Bichharr Ga'ee Thi,Magar Karwaan Tak Aa Pohnchi,

Wo Hum Se Rooth Gaye Aur Be-Sabab Roothe,

Khudaa Ki Shaan! Nobat Yahan Tak Aa Pohnchi,

Yaqeen To Nahi Mujh Ko Teri Jafaa Ka Magar,

Ye Ik Khalsh Mere Waham-O-Guman Tak Aa Pohnchi,

Hum Un Se Raaz-E-Tamana Bayaan Kar Hi Gaye,

Jo Baat Dil Ki Thi Aakhir Zubaan Tak Aa Pohnchi,

Lagi Hai Aag Jo Gulshan Main Aatish-E-Gull Se,

ILaahi Khair! Mere Aashiyaan Tak Aa Pohnchi,

Wo Khud Pohnch Na Saka Haan NASEER Ki Ma'eyat,

Tere Dayaar Tere Aastaan Tak Aa Pohnchi...................!

Book

Dast-E-Nazar

Page 275


0 Responses to “Lagi Thi Dil Mein,Bal'Aakhir Zuban Tak Aa Pohnchi, Kahan Ki Aag Thi,Lekin Kahan Tak Aa Pohnchi,”

Post a Comment