Sunday, 8 November 2015

Na Jane Konsi Raat Aakhri Hogi, Miltay Jultay Batein Karte Raho Yaaro Aik Dosre Se Na Jaane Konsi Mulaqaat Aakhri Hogi


Kia Khoob Likha Hai Kisi Ne

Bakhsh Deta Hai Khuda Unko Jin Ki Qismat Kharab Hoti Hai,

Wo Hargiz Nahi Bakhshe Jate Hain Jin Ki Neeyat Kharab Hoti Hai,

Na Mera Aik Hoga Na Tera Laakh Hoga 

Na Taareef Teri Hogi Na Mazaaq Mera Haga,

Ghuroor Na Kar Shah-e-Shareer Ka,

Mera Bhi Khaak Hoga Tera Bhi Khaak Hoga,

Zindagi Bhar Branded Branded Karne Walo,

Yaad Rakhna Kafan Ka Koi Brand Nahi Hota,

Koi Ro Kar Dil Behlata Hai Aur Koi Hans Ke Dard Chupata Hai,

Kia Kiramaat Hai Qudrat Ka Zinda Insaan Pani Mein Doob Jata Hai

Aur Murda Tair Kar Dekhata Hai,

Mout Ko Dekha To Nahi Par Wo Shayad Buhat Khoobsoorat Hogi,

Kambakht! Jo Bhi Us Se Milta Hai Jeena Chor'r Deta Hai,

Ghazab Ki Ikta Dekhi Logo Ki Zamane Main ,

Zindon Ko Girane Main Aur Murdon Ko Uthane Main,

Zindagi Main Na Jane Konsi Baat Aakhri Hogi,

Na Jane Konsi Raat Aakhri Hogi,

Miltay Jultay Batein Karte Raho Yaaro

Aik Dosre Se Na Jaane Konsi Mulaqaat Aakhri Hogi.......!

*.__NOMI__.*

 

0 Responses to “Na Jane Konsi Raat Aakhri Hogi, Miltay Jultay Batein Karte Raho Yaaro Aik Dosre Se Na Jaane Konsi Mulaqaat Aakhri Hogi”

Post a Comment