Thursday, 3 December 2015
Har Taraf Se Jhankta Hai Roo-E-Khana Mujhe, Mehfil-E-Hasti Hai Gia Aaina Mujhe,
Poet Naseer-O-Deen Naseer
Type By
*.__NOMI__.*
Har Taraf Se Jhankta Hai Roo-E-Khana Mujhe,
Mehfil-E-Hasti Hai Gia Aaina Mujhe,
Ek Qayamat Dhaye Ga Dunia Se Uth Jana Mera,
Yad Kar K Roein Gay Yaran-E-Maye Khana Mujhe,
Dil Milate Bhi Nahi Daman Churate Bhi Nahi,
Tum Ne Aakhir Kion Bana Rakha Hai Deewana Mujhe,
Ya Kamal-E-Qurab Ho Ya Inteha-E-Buad Ho,
Ya Nabhana Sath Ya Phir Bhool Hi Jana Mujhe,
Unglian Shab Zadgaan-E-Shehr Ki Uthne Lagein,
Mere Saqi De Zara Qandeel-E-Maye Khana Mujhe,
Too Hi Batla Is Ta'aluq Ko Bhala Kia Naam Don,
Sari Dunia Keh Rahi Hai Tera Deewana Mujhe,
Jis K Sanate Hon Meri Khamoshi Se Hum Kalam,
Kash Mil Jaye NASEER Ek Aisa Veerana Mujhe.............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “ Har Taraf Se Jhankta Hai Roo-E-Khana Mujhe, Mehfil-E-Hasti Hai Gia Aaina Mujhe,”
Post a Comment