Friday, 4 December 2015
Khamosh Ho Kion Daad-E-Jafa Kion Nahi Dete, Bismal Ho To Qatil Ko Dua Kion Nahi Dete ?
Poet Ahmad Faraz
Type
By
UJRRA-DIL
Khamosh Ho Kion Daad-E-Jafa Kion Nahi Dete,
Bismal Ho To Qatil Ko Dua Kion Nahi Dete ?
Wehshat Ka Sababb Rozan-E-Zindaan To Nahi Hai,
Mehar-O-Maah-O-Anjam Ko Bujha Kion Nahi Dete,
Ik Ye Bhi To Andaz-E-Ellaj-E-Gham-E-Jaan Hai,
Ay Charah Garo Dard Barrha Kion Nahi Dete,
Mansif Ho Agar Tum To Kab Insaf Karo Ge ?
Mujrim Hain Agar Hum To Saza Kion Nahi Dete,
Rehzan Ho To Hazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhi,
Rehbar Ho To Manzil Ka Pata Kion Nahi Dete,
Kaya Beet Gai Ab K FARAZ Ehal-E-Chaman Par ?
Yaraan-E-Qafas Mujh Ko Sada Kion Nahi Dete................?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “ Khamosh Ho Kion Daad-E-Jafa Kion Nahi Dete, Bismal Ho To Qatil Ko Dua Kion Nahi Dete ?”
Post a Comment