Monday, 18 January 2016
Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua
Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua
iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua
Ye hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki
woh naam jo mere honthon par khushboo ki tarah aabaad hua
Uss shehar mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhool gaye
ek shakhs kitaabon jaisa tha woh shakhs zubaani yaad hua
Woh apne gaaon ki galiyaan thi dil jin mein naachta gaata tha
ab iss se farq nahin padta nashaad hua ya shaad hua
Benaam sataaish rehti thi in gehri saanwali aankhon mein
aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua
Noshi Gilani
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua”
Post a Comment