Tuesday, 19 January 2016
agar dard-e-muhabbat se na insaan aashna hota na marne ka maza hota, na jeene ka maza hota
agar dard-e-muhabbat se na insaan aashna hota
na marne ka maza hota, na jeene ka maza hota
hazaaron jaan dete hain buton ki be-vafaa'ii par
agar un mein se koi baa-wafa hota to kya hota
agar dam bhar bhi mit jati Khalish-Khaar tamanna
dil hasrat talab ko apni hasti hai gilaa hota
ye maana be-hijaabaana nigaahen qah'r karti hain
magar husn-e-haya parwar ka aalam doosra hota
Brij Narayan Chakbast
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “agar dard-e-muhabbat se na insaan aashna hota na marne ka maza hota, na jeene ka maza hota”
Post a Comment