Monday, 25 January 2016
Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha
Poet:Ahmad Nadeem Qasmi
Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha
Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha
Utha ajab tazad se insan ka khameer
Aadi fana ka tha to pujari baqaa ka tha
Is rishta-e-lateef k israr kya khulen
Tu samne tha aur tasawar khuda ka tha
Toota tou kitne aaina khano peh zad pari
Atka hua gale mein jo pathar sadaa ka tha
Chhup Chhup k roun aur sar-e-anjuman hansoon
Mujh ko ye mashwara mere dard aashna ka tha
Dil raakh ho chuka to chamak aur barh gai
Ye teri yaad thi k amal keemiya ka tha
Is husn-e-ittifaq pe lut k bhi shaad hoon
Teri razaa jo thi, wo taqaza wafa ka tha
Hairan hoon k daar se kaisy bacha NADEEM
Wo shakhs to ghareeb-o-ghayoor intihaa ka tha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha”
Post a Comment