Friday, 22 January 2016

Jis ne jo bhi isey khyaal kiya maine toh Ishq behrhaal kiya



Jis ne jo bhi isey khyaal kiya

maine toh Ishq behrhaal kiya

Aaj sab ka mizaaz zar-e-qalaam

kal bhi aahon ne inteqaal kiya

Baat karte toh baat ban jaati

khamoshi khamoshi kamaal kiya

Shor barpa hua aandhi aandhi

jab hunar ka chiraagh laal kiya

Mauj uthi deeda-e tar mein

jab maazi ko maine haal kiya

Waqt qurbat mein ruk raha na tha

ab ke maah-o-saal kiya


0 Responses to “Jis ne jo bhi isey khyaal kiya maine toh Ishq behrhaal kiya”

Post a Comment