Monday, 18 January 2016
Mujh ko Ruswa Sar-E-Baazar Na Karwaya Karay Kash Aansoo Meri Aankho'n Main Hi Reh Jaya Karay
Mujh ko Ruswa Sar-E-Baazar Na Karwaya Karay
Kash Aansoo Meri Aankho'n Main Hi Reh Jaya Karay
Ay Hawa Main Ne To Bas Uska Pata Puchha Tha
Ab Kahani To Na Harr Baat Ki Ban Jaya Karay
Bas Bohat Daikh Liye Khwaab Suhanay Din K
Ab Wo Bato'n Ki Rifaqat Se Na Behlaya Karay
Ikk Museebat To Nahi Tooti So Ab Iss Dil Se
Jiss Museebat Ne Guzarna Hai Guzar Jaya Karay
Jiss K Khaabo'n Ko Main Aankho'n Main Saja Kar Rakkhoo'n
Usski Khushboo Kabhi Mujh Ko Bhi To Mehkaya Karay
Noshi Gilani
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Mujh ko Ruswa Sar-E-Baazar Na Karwaya Karay Kash Aansoo Meri Aankho'n Main Hi Reh Jaya Karay”
Post a Comment