Monday, 18 January 2016
Woh baat baat mein itna badalta jaata hai ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai
Woh baat baat mein itna badalta jaata hai
ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai
Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen
magar woh shakhs toh raasta badalta jaata hai
Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain
ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai
Reha jo dhoop mein sar par mere wahi aanchal
hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai
Woh baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai
Noshi Gilani
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Woh baat baat mein itna badalta jaata hai ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai”
Post a Comment