Sunday, 7 February 2016
Junoon main shoq ki gehrayon se darta raha Man apni zaat ki, sachaayon se darta raha
Junoon main shoq ki gehrayon se darta raha
Man apni zaat ki, sachaayon se darta raha
Mohabaton se shanasa hua man jis din se
Phir us k baad, shanasaayon se darta raha
Wo chaahta tha, k tanhaa miloon to baat karay
Man kia karoon k, man tanhayon se darta raha
Man regzaar tha, mujh main basay thay sanaatay
Isi liyae to man, shahnaiyon se darta raha
Man apnay baap ka, yousaf tha, is liae MOHSIN
Sakoon se so na sakaa, bhaaiyon se dartaa raha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Junoon main shoq ki gehrayon se darta raha Man apni zaat ki, sachaayon se darta raha”
Post a Comment