Tuesday, 9 February 2016
Sab ki puuja ek si, alag alag har reet Masjid jaaye maulvi, koyal gaaye geet
Nida Fazli's Dohey
Sab ki puuja ek si, alag alag har reet
Masjid jaaye maulvi, koyal gaaye geet
Bachcha bola dekh kar masjid aalishan
Allah terey ek ko, itana barrha makaan
Sidha saada daakiya jaadu kare mahaan
Ek hi thele mein bhare aansu or muskaan
Ghar ko khoje raat din, ghar se nikle paau'n
Voh raasta hi kho gaya jis raaste thay gaau'n
Mujh jaisa ek aadmi, meraa hi ham-naam
Ulta sidha voh chale, mujhe karey badnaam
Puuja ghar mein murti, mira ke sang shyaam
Jitni jis ki chaakari, utney uss ke daam
Achhi sangat baith kar, sangi badle roop
Jaise mil kar aam se meethi ho gayi dhoop
Chhota kar ke dekhiye jeevan ka vistaar
Aankhon bhar aakash hai baanho bhar sansaar
Nida Fazil
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Sab ki puuja ek si, alag alag har reet Masjid jaaye maulvi, koyal gaaye geet”
Post a Comment