Tuesday, 9 February 2016

Sab ki puuja ek si, alag alag hr reet Masjid jaaye maulvi, koyaal gaaye geet



Nida Fazli's Dohey

Sab ki puuja ek si, alag alag hr reet

Masjid jaaye maulvi, koyaal gaaye geet

Bachcha bola dekh kr masjid aalishan

Allah terey ek ko, itanaa barrha makaan

Sidha saada daakiya jaaduu kare mahaan

Ek hi thele mein bhare aansu or muskaan

Ghar ko khoje raaat din, ghar se nikle paau'n

Voh raasta hi kho gaya jis raaste thay gaau'n

Mujh jaisa ek aadmi, meraa hi ham-naam

Ulta sidha voh chale, mujhe krey badnaam

Puuja ghar mein murti, mira ke sang shyaam

Jitni jis ki chaakari, utney uss ke daaam

Achhi sangat baith kar, sangi badle roop

Jaise mil kar aam se meethi ho gayi dhoop

Chhota kr ke dekhiye jeevan ka vistaar

Aankon bhar aakash hai baanho bhar snsaar

Nida Fazil

0 Responses to “Sab ki puuja ek si, alag alag hr reet Masjid jaaye maulvi, koyaal gaaye geet”

Post a Comment