Saturday, 1 June 2013
Jo Bhi Darwan-E-Dil Hai Wo Bahir Na Aaye Ga
Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Jo Bhi Darwan-E-Dil Hai Wo Bahir Na Aaye Ga.
Ab Aagahi Ka Zehar Zaban Par Na Aaye Ga.
Ab K Bichar K is Ko Nadamat Thi is Qadar.
Jee Chahta Bhi Ho To Palat Kar Na Aaye Ga.
Youn Phir Raha Hai Kanch Ka Pekar Liye Howe.
Ghafil Ko Ye Guman Hai K Pathar Na Aaye Ga.
Pher Bo Raha Hoon Aaj inhein Sahilon Pe Phol.
Pher Jaise Mooj Mein Samandar Na Aaye Ga.
Mein Jaan Balb Hon Tark-E-Taalok K Zehar Se.
Wo Mutmaeen K Harf To is Par Na Aaye Ga.................!
Book:
Jaana Jaana
Page: 25
Ghazal: 9
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Jo Bhi Darwan-E-Dil Hai Wo Bahir Na Aaye Ga”
Post a Comment