Sunday, 2 June 2013

Sham Bhi Ho Gai Dhundla Gain Aankhain Bhi Meri


 

Poetess Parveen Shakir 

 

Kash Sundal Se Meri Mang Ujale Aa Kar,

Itne Ghairon Mein Wohi Hath Jo Apna Dekhon,

Too Mera Kuch Nahi Lagta Hai Magar Jan-E-Hayat !

Jane Kion Tere Liye Dil Ko Dharkta Dekhon !

Band Kar K Meri Aankhain Wo Shararat Se Hanse,

Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhon,

Ek Zara Sa Sheir Kahon Aur Main Kia Kia Dekhon,

Neend Aa Jaye To Kia Mehfalain Barpa Dekhon,

Aankh Khul Jaye To Tanhai Ka Sehra Dekhon,

Sham Bhi Ho Gai Dhundla Gain Aankhain Bhi Meri,

Bhoolne Wale Mein Kab Tak Tera Rasta Dekhon,

Ek Ek Kar K Mujhe Chor Gain Sab Sakhian,

Aaj Main Khud Ko Teri Yad Mein Tanha Dekhon,

Boojhe Jane Ka Main Roz Tamasha Dekhon,

Sab Ziddein Us Ki Main Poori Karon Har Bat Sunon,

Aik Bache Ki Tarha Se Usay Hansta Dekhon,

Mujh Pe Cha Jaye Wo Barsat Ki Khushbo Ki Tarha,

Phool Ki Tarha Mere Jism Ka Har Lab Khil Jaye,

Pankhri Pankhri Un Honton Ka Saya Dekhon,

Main Ne Jis Lamhe Ko Pooja Hai Usay Bas Ek Bar,

Khawab Ban Kar Teri Aankhon Mein Utrata Dekhon,

Too Meri Tarha Se Yakta Hai Magar Mere Habeeb!

Jee Mein Aata Hai Koi Aur Bhi Tujh Sa Dekhon,

Toot Jain K Pigal Jain Mere Kache Gharre,

Tujh Ko Main Dekhon K Ye Aag Ka Daria Dekhon...............!

Book

Mera Shehr Sukhan

 

0 Responses to “Sham Bhi Ho Gai Dhundla Gain Aankhain Bhi Meri”

Post a Comment