Wednesday, 5 June 2013

Na Khush Hain Kabhi Butt Kabhi Naraz Haram Hai


 

 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Na Khush Hain Kabhi Butt Kabhi Naraz Haram Hai.

Hum Dil Zadgan Ka Na KHUDA Hai Na Sanam Hai.

Jo Likh Nahi Sakta Saf-E-Muzgaan Pe Raqam Hai.

Go Hath Mein Janbash Nahi Aankhon Mein To Dam Hai.

insaaf Kahan Ab To Faqat Faisla Ho ga.

Mein Paa Ba Salasil Kaf-E-Dushman Mein Qalam Hai.

Tarkash Ka Gumaan Hota Hai Bsmal K Badan Par.

Teer itne Lage Jaism Kamaan Ki Tarah Kham Hai.

Ye Kaisi Rafaqt Hai Na Milna Na Bicharrna.

Ye Kaisi Wafa Hai K Na Tariaq Na Sam Hai.

Kia Marg-E-Muhabbat Ka Howa Ranj Tujhe Bhi.

Aye Zud Faramosh Teri Aankh Bhi Nam Hai.

Jhille Hain Jo Dukh Too Ne FARAZ Apni Jagah Hain.

Par Tum Pe Jo Guzri Hai Wo Auron Se To Kam Hai.....!

Book:

Pass Andaz Mosam

Page: 121 to 122

Ghazal 42 

 

0 Responses to “Na Khush Hain Kabhi Butt Kabhi Naraz Haram Hai”

Post a Comment