Tuesday, 4 June 2013
Garifta Dil Andleeb Ghail Gulab Dekhe
Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Garifta Dil Andleeb Ghail Gulab Dekhe.
Muhabbaton Ne Sabi Ruton Mein Azab Dekhe.
Wo Din Bhi Aaye Saleeb Gar Bhi Saleeb Par Hon.
Ye Shehr Ek Roz Pher Se Yom-E-Hisab Dekhe.
Ye Subh Kazab To Rat Se Bhi Taveel Tar Hai.
K Jaise Sadiyan Guzar Gain Aftab Dekhe.
Wo Chashm-E-Mehrom Kitni Mehrom Hai K Jais Ne.
Na Khawab Dekhe Na Ratjagon K Azab Dekhe.
Kahan Ki Aankhain K Ab To Chehron Pe Aabla Hain.
Aur Ablon Se Bhala Koi Kaise Khawab Dekhe.
Ajeeb Nahi Hai Jo Khushbo Se Hai Shehr Khali.
K Mein Ne Dhleez-E-Qatlan Par Gulab Dekhe.
Ye Saaat-E-Deed Aur Wehsht Barrha Gai Hai.
K Jaise Koi Janoon zada Mahtab Dekhe.
Mujhe To Hum Maktbi K Din Yaad
Aa Gaye Hain.
K Mein Use Parr Raha Hon Aur Wo Kitab Dekhe....!
Book:
Be Aawaz Gali Kochon Mein
Page: 94
Ghazal: 46
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Garifta Dil Andleeb Ghail Gulab Dekhe”
Post a Comment