Thursday, 6 June 2013
Too Agar Rakhe ga Saqi Hum Se Hi Paimana Alag
Poet Naseer-U-Deen Naseer
Too Agar Rakhe ga Saqi Hum Se Hi Paimana Alag,
Hum Bana le gy Chota Sa Mekhana Alag..
Is Ki Abadi Alag hai Is Ka Warana Alag,
Door Is Dunia Se Rehta hai Deewana Alag
Meh-Kashi k Sath lutf-e-Raqs-e-Pemana Alag,,
Aur Us Par latfat-e-Peer-e-Mekhana Alag..
Ik Maqam Aisa K Jeete G guzr Mumkin Nahi,
Zindagi Taaj Kar Bnaya Hum Ne Kashana Alag.
Gul Khilaye Fasl-e-gul Aate hi Deewane Ne youn,
Ab Nazar Aata Nahi gulshan Se Werana Alag..
Aansuon Se likh Rahe hain Waqyat-e-Zindgi,
Hum Matrab Kr Rahe hain Apna Afsana Alag..
Tere Sadqe Ab Nahi Saqi Mujhe Koi gila,,
Mujh Ko Mil Jati hai Meh Peneen Ko Rozana Alag
Khal Parwana Ki Saar Shab rahi Us K Hazoor,
Shama Se Rehta Nahi Jal Kr Bi Parwana Alag..
Pee Raha hun Shaad hun Sharsar hun,
Dil lagi Meh Se Alag Saqi Se Yarana Alag.
Mehkade Mein Ab Bhi Itni Saqh hy Apni"NASEER",
IK Hamare Naam Ka Rehta hy Pemana Alag..............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Too Agar Rakhe ga Saqi Hum Se Hi Paimana Alag”
Post a Comment