Thursday, 6 June 2013
Wo Ek Tasveer Hai Jis Ne Meri Dunia Hi Dekhla Di
Poet Shahzad Qais
Suno
Wo Ek Tasveer Hai Jis Ne Meri Dunia Hi Dekhla Di,
Wo Ek Masoom Si Guria Wo Ek Kayalon Ki Shazadi,
Wo Khud Apne Hi Hathon Mein Thaam Kar Apne Chehre Ko,
Youn Bikhra-E-Hoye Bethi Hai Wo Zulfon Ki Lehron Ko,
Na Jane Kin Khayalon Mein Na Jane Kis Ki Yadon Mein,
Rahe Gum Sum Sada Khoi Hoi Apne Hi Khawabon Mein,
Na Jane Kitne Lambe Ho Gaye Un Aankhon K Weerane,
Chupe Hain Us Mein Kitni Khushian Aur Gham K Afsane,
Ye SHAHZAD. Ki Hi Jurat Thi Jo Dekha Us Ki Aankhon Mein,
Qasam Allah Ki Wo Ek Hi Tasveer Hai Lakhon Mein...............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Wo Ek Tasveer Hai Jis Ne Meri Dunia Hi Dekhla Di”
Post a Comment