Thursday, 19 September 2013

Aqaid-O-Hum Hain Mazhab Hayal-E-Khaam Hai Saqi


 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Aqaid-O-Hum Hain Mazhab Hayal-E-Khaam Hai Saqi,

Azal Se Zehan-E-Insan Basta Aohaam Hai Saqi,

Haqeeqat Aashnai Asal Mein Gum Karda Rahi Hai,

Aroos-E-Aagahi Parwarda-E-Abhan Hai Saqi,

Mubarik Ho Zaeefi Ko Khard Ki Falsafa Rani?

Jawani Beniaz Ibrat Anjam Hai Saqi,

Hawas Ho Gi Aseer-E-Halqa Neik-O-Bad Aalam,

Mohabbat Mawara-E-Fikar-E-Nang-O-Naam Hai Saqi,

Abhi Tak Raste K Peich-O-Kham Se Dil Dharkta Hai,

Mera Zoq-E-Talab Shayad Abhi Tak Khaam Hai Saqi,

Wahan Bheja Gia Hon Chak Karne Parda-E-Shab Ko,

Jahan Har Subha K Daman Pe Aks Sham Hai Saqi,

Mere Saghar Mein Maye Hai,

Aur Tere Hathon Mein Barbat Hai,

Watan Ki Sarzameen Mein Bhook Se Kehram Hai Saqi,

Zamana Bar Sar-E-Pekaar Hai Pur Hol Sholon Se,

Tere Lab Par Abhi Tak Naghma Khayam Hai Saqi....!

Page 54 to 55 

 

0 Responses to “Aqaid-O-Hum Hain Mazhab Hayal-E-Khaam Hai Saqi”

Post a Comment