Thursday, 19 September 2013
Sochta Hon Mohabbat Se Kinara Kar Lon
Poet Sahir Ludhianvi
Sochta Hon Mohabbat Se Kinara Kar Lon,
Dil Ko Begana-E-Targheeb-O-Tamana Kar Lon,
Sochta Hon K Mohabbat Hai Janoon-E-Ruswa,
Chand Be Kaar Se Be Hooda Khayalon Ka Hajoom,
Aik Aazad Ko Paband Banane Ki Havas,
Aik Begane Ko Apnane Ki Sai Mohoom,
Sochta Hon K Mohabbat Hai Surwar-O-Masti,
Us Ki Tanveer Se Roshan Hai Fiza-E-Hasti,
Sochta Hon K Mohabbat Hai Bashar Ki Fitrat,
Is Ka Mit Jana Mita Dena Bahut Mushkil Hai,
Sochta Hon K Mohabbat Se Hai Tabinda-E-Hayat,
Aur Ye Shamma Bujha Dena Bahut Mushkil Hai,
Sochta Hon K Mohabbat Pe Karri Sharthein Hain,
Sochta Hon K Mohabbat Hai Ek Afsurda Si Laash,
Chadar-E-Izat-O-Namoos Mein Kafnai Hoi,
Dor-E-SarmaYa Ki Roondi Hoi Ruswa Hasti,
Darga-E-Mazhab-O-Akhlaq Se Thukrai Hoi,
Sochta Hon K Bashar Aur Mohabbat Ka Janoon,
Aise Boseeda Tamadan Mein Hai Ek Kaar Zaboon,
Sochta Hon K Mohabbat Na Bache Gi Zinda,
Peish Azaan Waqt K Sar Jaye Ye Galti Hoi Laash,
Yehi Behtar Hai K Begana-E-Ulfat Ho Kar,
Apne Seene Mein Karon Jazba-E-Nafrat Ki Talash,
Sochta Hon K Mohabbat Se Kinara Kar Lon,
Dil Ko Begana-E-Targheeb-O-Tamana Kar Lon................!
Page 48 To 49
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Sochta Hon Mohabbat Se Kinara Kar Lon”
Post a Comment