Thursday, 19 September 2013

Saai Baqa-E-Shokat-E-Iskandri Ki Khair Mahol-E-Khasht


 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Saai Baqa-E-Shokat-E-Iskandri Ki Khair,

Mahol-E-Khasht Bar Mein Sheesha Gari Ki Khair,

Bezar Hai Kunsht-O Kalisa Se Ek Jahan,

Soda Garaan-E-Deen Ki Soda Gari Ki Khair,

Faqa Kashon K Khoon Mein Hai Josh-E-Intaqam,

Sarmaya K Fareib Jahan Parwari Ki Kheir,

Tabqat-E-Mutabazl Mein Hai Tanzeem Ki Namood,

Shenshahon K Zabta-E-Khud Sari Ki Khair,

Ahsas Barh Raha Hai Haqooq-E-Hayat Ka,

Pedaishi Haqooq-E-Sitam Parwari Ki Khair,

IBLEES Khanda Zan Hai Mazahib Ki Laash Par,

Paighambran-E-Dahr Ki Peghambri Ki Khair,

Sehan-E-Jahan Mein Raqs Kanaan Hain Tabahian,

Aaqa-E-Hast-O-Bood Ki Sanat Gari Ki Khair,

Shole Lapak Rahe Hain Jahanum Ki God Se,

Bagh-E-Jinaan Mein Jalwa-E-Hoor-O-Pari Ki Khair,

Insan Ulat Raha Hai Rukh-E-Zeest Se Naqab,

Mazhab K Ahtama-E-Fasoon Parwari Ki Khair,

Ilhaad Kar Raha Hai Muratab Jahan-E-Nao,

Deir-O-Haram K Heela-E-Gharat Gari Ki Khair.........!

 

0 Responses to “Saai Baqa-E-Shokat-E-Iskandri Ki Khair Mahol-E-Khasht”

Post a Comment