Friday, 20 September 2013

Taaj Tere Liye Ek Mazhar-E-Ulfat Hi Sahi (Taaj Mahal Poem)


 

*********************************************

Dedicated To All Indian Boys and Girls.

**********************************************

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

================

TAAJ MAHAL

================

Taaj Tere Liye Ek Mazhar-E-Ulfat Hi Sahi,

Tujh Ko Is Ki Waadi Rageen Se Aqeedat Hi Sahi,

Meri Mehboob Kahein Aur Mila Kar Mujh Se,

Bazm-E-Shahi Mein Ghareebon Ka Guzar Kia Mani,

Sabt Jis Raah Mein Hon Satoot-E-Shahi K Nishan,

Is Pe Ulfat Bhari Roohon Ka Safar Kia Maini?

Meri Mehboob Pass-E-Parda Tash'heer-E-Wafa,

Too Ne Satoot K Nishano Ko To Dekha Hota,

Murda Shahon K Maqabir Se Behlne Wali,

Apne Tareek Makano Ko To Dekha Hota,

An Gant Logon Ne Dunia Mein Mohabbat Ki Hai,

Kon Kehta Hai K Sadiq Thay Jazbe Un K,

Lekin Un K Liye Tash'heer Ka Saman Nahi,

Kion K Wo Log Bhi Apni Hi Tarha Muflis Thay,

Ye Amaraat-O-Maqabir Ye Faseelain Ye Hisar,

Matlaq Ul Hukm Shehnshahon Ki Azmat K Satoon,

Seena-E-Dahr K Na Soor Hain Kehna Na Soor,

Jazb Hai In Mein Tere Aur Mere Ajdad Ka Khoon,

Meri Mehboob Unhein Bhi To Mohabbat Ho Gi,

Jin Ki Sanai Be Bakhshi Hai Usay Shakal-E-Jameel,

In K Pyaron K Maqabir Rahe Be Naam-O-Namood,

Aaj Tak Um Pe Jalai Na Kisi Ne Qandeel,

Ye Chaman Zaar Ye Jamna Ka Kinara Ye Mahal,

Ye Manqash Dar-O-Deewar Ye Mehrab Ye Taaq,

Ek Shenshah Ne Dolat Ka Sahara Le Kar,

Hum Ghareebon Ki Mohabbat Ka Uraya Hai Mazaq,

Meri Mehboob...!

Kahein Aur Mila Kar Mujh Se..........!

 

Page 68 To 69 

 

0 Responses to “Taaj Tere Liye Ek Mazhar-E-Ulfat Hi Sahi (Taaj Mahal Poem)”

Post a Comment