Monday, 16 September 2013

Jab Gulistaan Mein Baharon K Qadam Aate Hain


 

Poet Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Jab Gulistaan Mein Baharon K Qadam Aate Hain.

Yad Bhoole Howay Yaron K Karam Aate Hain.

Log Jais Bazam Mein Aate Hain Sitare Le kar.

Hum Usi Bazam Mein Badeeda Nam Aate Hain.

Mein Ek Rind-E-Kharabat Hoon Mekhane Mein.

Mere Sajde K Liye Saghar Jam Aate Hain.

Ab Mulakam Mein Wo Garmi Jabaat Kahan.

Ab To Rakhne Wo Muhabbat Ka Bharam Aate Hain.

Qurb-E-Saqi Ki Wazahat To Barri Muskil Hai.

Ayse Lamhe Thay Jo Taqdeer Se Kam Aate Hain.

Mein Bhi Janat Se Nikala Howa Ek Buot Hi To Hoon.

Zauq-E-Takhleeq Tujhe Kyse Sitam Aate Hain.

Chasham Saghar Hai ibadat K Tasavar Mein Sada.

Dil K Kabay Mein Khayalon K Sanam Aate Hain......!

 

Book

Kuliat-e-Saghar

Page: 228 to 229

 

0 Responses to “Jab Gulistaan Mein Baharon K Qadam Aate Hain”

Post a Comment