Thursday, 3 October 2013

Gulon Mein Rang Bhare Bad-E-Naobahar Chale


 

Poet Faiz Ahmad Faiz 

 

Gulon Mein Rang Bhare Bad-E-Naobahar Chale,

Chale Bhi Aao K Gulshan K Karobar Chale,

Qafas Udas Hai Yaro Saba Se Kuch To Kaho,

Kahein To Bahr-E-Khuda Aaj Zikr-E-Yar Chale,

Kabhi To Subha Tere Kunj-E-Lab Se Ho Aghaz,

Kabhi To Shab Sar-E-Kakul Se Mushkabar Chale,

Bara Hai Dard Ka Rishta Ye Dil Ghareeb Sahi,

Tumhare Nam Pe Aain Gay Gham Gusar Chale,

Jo Hum Pe Guzari So Guzari Magar Shab-E-Hijran,

Humare Ashk Teri Aqabat Sanwar Chale,

Hazoor-E-Yar Hoi Daftar-E-Janoon Ki Talab,

Gira Main Le K Gareban Ka Tar Tar Chale,

Maqam FAIZ Koi Raah Mein Jacha Hi Nahi,

Jo Koo-E-Yar Se Nikle To Soo-E-Daar Chale.................!

 

0 Responses to “Gulon Mein Rang Bhare Bad-E-Naobahar Chale”

Post a Comment