Wednesday, 2 October 2013

Mansab Baqadar-E-Qamat-Kirdar Chahiye


 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Mansab Baqadar-E-Qamat-Kirdar Chahiye,

Katte Howay Saron Ko Bhi Dastar Chahiye,

Ek Subha Be Kafan Ko Zaroorat Hai Noha-E-Gar Chahiye,

Ek Sham Be Rida Ko Azadaar Chahiye,

Soraj Ne Sar Pe Taan Lia Shab Ka Saibaan,

Ab Dhoop Ko Bhi Saya-E-Deewar Chahiye,

Heere Na Hon To Ashq Saja Lon Dukan Mein,

Sodagron Ko Garmi-E-Bazar Chahiye,

Aisa N Ho K Barf Zameeron Ko Chaat Le,

Yakh Bastagi Ko Shola-E-Pindaar Chahiye,

Izn-E-Safar Mila Hai To Had-E-Nazar Ghalat,!

Parwaz Aasmaan K Bhi Us Paar Chahiye,

Khushbo Ki Jhanjharein Hain Hawaon K Paon Mein,

Shayad Sakoot-E-Dasht Ko Jhankar Chahiye,

Hai Maddai Ki Fikar Na Mujrim Se Wasta,

Munsaf Ko Sirf Apna Tarafdar Chahiye,

Sorash Ki Laho Ki Ho K MOHSIN Izn-E-Shoq,

Ghogha Koi Aaj Sardar Chahiye.........!

Book Taloo-E-Ashk 

 

0 Responses to “Mansab Baqadar-E-Qamat-Kirdar Chahiye”

Post a Comment