Thursday, 17 October 2013

Ishq Paband-E-Rasam-O-Niaz Husn Majboor


 

 

Poet Basheer Farooq

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Ishq Paband-E-Rasam-O-Niaz,

Husn Majboor Dil Farebi-E-Naaz.

Raqs Mein Aa Gaya Hai Aalam-E-Naaz,

Matrab-E-Shaoq Ne Uthaya Saaz.

Har Nava ishq Ki Khalish Afroz,

Har Ada Husan Ki Bahana Saaz.

Husan Ki Anjuman Nishat-O-Saror,

ishq Ki Kainaat Sooz-O-Gadaaz.

Kon Banta Hai Chara Saaz-E-Janun,

Koon Hota Hai Aashnaye Raaz.

Ab Na Wo Dil Na Wo Gadaaz-E-Kuhan,

Ab Na Gham Hai Na Fikar-E-Chara Saaz.......! 

 

Book: Boo-e-Gull

Page: 198

 

 

1 Responses to “Ishq Paband-E-Rasam-O-Niaz Husn Majboor”

Mirza Ghalib said...
30 December 2013 at 07:22

Waah, Waah, Kya Baat Hai... Bohat Hi Khoobsurat...


Post a Comment