Thursday, 17 October 2013

Sham-E-Faraq Bazam Sajane Ko Aa Gai


 

 

Poet Barheer Farooq

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Sham-E-Faraq Bazam Sajane Ko Aa Gai.

Phir Hijar Rat Dard Jagane Ko Aa Gai.

Tera Khayal Aag Laga Kar Chala Gaya.

Phir Teri Chha Shama Jalane Ko Aa Gai.

Tum Aaye Ho To Boye Hina Bhi Tumhare Sath.

Ghunchon Mein Apna Rang Rachane Ko Aa Gai.

Saghar Utha Kar Phir Ye Baharen Na Aaeen Gi.

Sawan Ki Rut Ye Raaz Batane Ko Aa Gai.

Ab Tak Humare Jaam Hain Khali Parre Howe.

Yuon To Sharab Bazam Mein Aane Ko Aa Gai.

Khanda Koi Kalli Hai Na Shadaab Koi Phol.

Yuon To Bahar Jashan Manane Ko Aa Gai.

FAROOQ Fash Ho Na Saka Aaj Tak Ye Raaz.

Hum So Gaye K Neend Zamane Ko Aa Gai.......! 

 

Book Boo-e-Gull

Page 195

 

 

0 Responses to “Sham-E-Faraq Bazam Sajane Ko Aa Gai”

Post a Comment