Thursday, 17 October 2013
Talab Hum Un Ki, Humari Wo Justajo Karte
Poet: Basheer Farooq
Typ By
*._Ayaz Khan_.*
Talab Hum Un Ki, Humari Wo Justajo Karte.
Tamam Umar Guzri Ye Aarzo Karte.
Qafas Se Aaye To Sholon Ka Tazkara Paya.
Khayal Ye Tha Baharon Ki Guftago Karte.
Agar Tha Hum Se Gila Bhi To Barmala Hota.
Agar Thi Hum Se Shikayat To Roo Ba Roo Karte.
Ye Ijtanab Munasib Nahi Nahi Saqi.
Zaban Sookh Gai Hai Sabo Saboo Karte.
Agar Maal Baharan Se Bakhabar Hota.
To Hum Kabhi Na Tamana Rang-O-Boo Karte.
Bahut Dinon Se Hai Tegh-E-Zamana Tashna Khoon.
Kahan Hain Ehl-E-Janun Paish Joo Galoo Karte.
Chaman Ko Rang Gulon K Lahoo Dia Hum Ne.
Hum Aur Kia Gul-O-Lala Ki Aabroo Karte.
Jo Kar Sake Na Apna Perahan Rafoo FAROOQ.
Keisi Ka Chaak Garibaan Wo Kia Rafoo Karte.......!
Book: Boo-e-Gull
Page: 203
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Talab Hum Un Ki, Humari Wo Justajo Karte”
Post a Comment