Sunday, 22 November 2015

Dar Haqeeqat Hai Wo Panahon Mein, Aa Gaya Jo Teri Nigaahon Mein,


Poet:Naseer-O-Deen Naseer

Type By

*._.Murtaza._.*

 Dar Haqeeqat Hai Wo Panahon Mein,

Aa Gaya Jo Teri Nigaahon Mein,

Jab Se Dekhi Hai Aap Ki Soorat,

Koi Jachta Nahi Nigaahon Mein,

Har Nafas Ahl-E-Ishq Ka Guzra,

Dard Mein,Gham Mein,Dukh Mein,Aahoon Mein,

Hum Se Kaar-E-Sawaab Ho Na Saka,

Umar Saari Katti Gunahoon Mein,

Unke Chehre Pe Aa Ga'ee Zardi,

Kuch Asar To Hai Apni Aahoon Mein,

Khuwaab Hai,Weham Hai Fasaana Hai,

Rang-E-Dunya Meri Nigaahoon Mein,

Paa'ee Jati Hai Jo Faqeeron Mein,

Baat Kab Hai Wo Baadshahoon Mein,

Aey NASEER Ab Yahi Tamana Hai,

Koi Phirta Rahe Nigaahoon Mein........!

Book

Dast-E-Nazar

0 Responses to “ Dar Haqeeqat Hai Wo Panahon Mein, Aa Gaya Jo Teri Nigaahon Mein,”

Post a Comment