Sunday, 22 November 2015
Dhoop Saat Rangoon Mein Phelti Hai Aankhoon Par, Barff Jab Pighlti Hai Us Ki Naram Palakoom Par
Poetess Parveen Shakir
Type By
Uroosa Emaan
Dhoop Saat Rangoon Mein Phelti Hai Aankhoon Par,
Barff Jab Pighlti Hai Us Ki Naram Palakoom Par,
Phir Bahaar K Sathi Aa Gaye Thikaanoon Par,
Surkh Surkh Ghar Nikale Sabz Sabz Shaakhoon Par,
Jisam-O-Jaan Se Utre Gi Gird Pichle Muasam Ki,
Dho Rahi Hain Sub Chirriyaan Apne Pankh Chashmoon Par,
Sari Raat Sote Mein Muskura Raha Tha Wo,
Jese Koi Sapna Sa Kanpta Tha Hontoon Par,
Titliyaan Pakrrne Mein Door Tak Nikal Jana,
Kitna Acha Lagta Hai Phool Jese Bachoon Par,
Lehar Lehar Ko Chherr Kar Guzrti Hai,
Chaandni Utrti Hai Jab Shareer Jhirnoon Par................!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “ Dhoop Saat Rangoon Mein Phelti Hai Aankhoon Par, Barff Jab Pighlti Hai Us Ki Naram Palakoom Par”
Post a Comment