Thursday, 5 November 2015

Hansi Thammi Hai In Aankhon Mein Yun Nami Ki Tarha, Chamak Uthe Hain Andhere Bhi Roshni Ki Tarha,


Meena Kumari

Mahjabeen Bano  was an Indian actoress and poet.She was born in 01 august 1932 and died on 31 march 1972.We’ve all known and loved her – Meena Kumari, the tragic beauty who brought so many wonderful films to life. Most of us don’t know that she was a poet too.

Poetess:Meena Kumari

Hansi Thammi Hai In Aankhon Mein Yun Nami Ki Tarha,

Chamak Uthe Hain Andhere Bhi Roshni Ki Tarha,

Tumhara Naam Hai Ya Aasmaan Nazron Mein,

Semit Gaya Meri Gum-Gashta Zindagi Ki Tarha,

Kohar Hai Dhund Dhuvan Hai Wo Jis Ki Shakal Nahi,

Keh Dil Ye Rooh Se Lipta Hai Ajnabi Ki Tarha,

Tumhare Haathon Ki Sarhad Ko Paa Ke Tehri Hoin,

Khalaayen Zinda Ragon Mein Hain Sanssani Ki Tarha.....!

0 Responses to “Hansi Thammi Hai In Aankhon Mein Yun Nami Ki Tarha, Chamak Uthe Hain Andhere Bhi Roshni Ki Tarha,”

Post a Comment