Wednesday, 4 November 2015
Shaakh-E-Badan Ko Taaza Phool Nishani De, Koi To Ho Jo Meri Jarroon Ko Paani De
Poetess:Parveen Shakir
Type By
*._.Murtaza._.*
Shaakh-E-Badan Ko Taaza Phool Nishani De,
Koi To Ho Jo Meri Jarroon Ko Paani De,
Apne Saare Manzar Mujh Se Le Le Aur,
Maalik! Meri Aankhon Ko Hairaani De,
Uski Sarghoshi Mein Bheegti Jaa'e Raat,
Qatrah Qatrah Tann Ko Na'ee Kahani De,
Us Ke Naam Pe Khule Dareeche Ke Dareeche,
Kaisi Piyari Khushboo Raat Ki Rani De,
Baat To Tab Hai Mere Harf Goonj Ke Saath,
Koi Us Lehje Ko Baat Puraani De................!
Book:Sad Barg
Page:266
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Shaakh-E-Badan Ko Taaza Phool Nishani De, Koi To Ho Jo Meri Jarroon Ko Paani De”
Post a Comment