Thursday, 5 November 2015
Subh se sha’m talak Doosro’n ke liye kuch karna hai Jisme’n khud apna koi naksh nahin
Zindagi Yeh Hai
Subh se sha’m talak
Doosro’n ke liye kuch karna hai
Jisme’n khud apna koi naksh nahin
Rang us paikare-tasweer hi mein bharna hai
Zindagi kya hai, kabhi sochne lagta hai yeh zehan
Aur phir rooh pe cha jate hain
Dard ke saye, udasi ka dhuan, dukh ki ghata
Dil mein rah-rah ke khayal a’ta hai
Zindagi yeh hai to phir maut kise kahte hain ?
Pyar ik khwab tha, is khwab ki ta’bir na pooch
Kya mili jurme-wafa ki hame’n ta’zir na pooch
This is Life
From morning to night
We must do things for others,
That living picture must be vivified
In which there is no trace of one’s self.
What is life, the mind sometimes wonders
And then the soul
Is overcast by shadows of grief
The smoke of despondency
Clouds of agony.
My heart wonders incessantly
If this is life, what is it that they call death?
Love was a dream
Ask not about the fate of this dream
Ask not about the punishment I received for the
crime of loyalty
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Subh se sha’m talak Doosro’n ke liye kuch karna hai Jisme’n khud apna koi naksh nahin”
Post a Comment