Thursday, 5 November 2015
Waqt apni dukan kyon sajaye baitha hai Mer’e samn’e –? Wo cheeze’n jinki kharidar thi mai’n Kaha’n hain –?
Khali Dukan
Waqt apni dukan kyon sajaye baitha hai
Mer’e samn’e –?
Wo cheeze’n jinki kharidar thi mai’n
Kaha’n hain –?
Ye musnui masar’raton ke khiloney
Shohrat ke ye kaghzi phool
Aur daulat ki ye momi dunia
Jo sheesh’e ki almarion mein ba’nd hain
(ki kisi ke choo len’e se pighal jo sakti hain)
Yeh wo cheeze’n nahin hain jinhe’n mai’n khareedna chahti hoo’n
Pyar ka ek khoobsurat khwab
Jo meri sulagti hui a’nkh mein thandak bhar de
Mohabbat ka ek purtapak lamha
Jo meri bechain rooh ko pursukoon kar de
Bas inhin ek do cheezo’n ki mai’n khareedar thi
Aur waqt ki dukan in cheezo’n se khali hai
The Empty Shop
Why has Time spread out its wares before me?
Where are the things
I used to buy?
These spurious toys of pleasure
Paper flowers of fame
These wax dolls of wealth
Locked in glass cases
(That can melt at anyone’s touch)
These are not the things I wish to buy
A handsome dream of love
Which can cool my inflamed eyes
A moment of perfect intimacy
Which can soothe my restless soul
I came looking for nothing but these
And the shop of Time
Supplies none of these things.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Waqt apni dukan kyon sajaye baitha hai Mer’e samn’e –? Wo cheeze’n jinki kharidar thi mai’n Kaha’n hain –?”
Post a Comment