Friday, 7 June 2013

Jahan Bhi Jana To Aankhon Mein Khawab Bhar Lana


 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Jahan Bhi Jana To Aankhon Mein Khawab Bhar Lana,

Ye Kia K Dil Ko Hameisha Udas Kar Lana.

Mein Baraf Baraf Ruton Mein Chala To Us Ne Kaha.

Palat K Aana To Kashti Mein Dhoop Bhar Lana.

Bhali Lagi Humain Khosh Qamti Kisi Ki Magr.

Naseeb Mein Kahan Us Saro Ka Samar Lana.

Payaam Kysa Magr Ho Sake To Aye Qasid.

Kbi Koi Khabar-E-Yaar-E-Be-Khabar Lana.

FARAZ Ab K Jab Aao Diyaar-E-Janan Mein.

Bajaye Tuhfa-E-Dil Armagaan-E-Sar Lana.....!

Book:

Pass Andaaz Mosam

Page: 125 to 126

Ghazal: 44 

 

1 Responses to “Jahan Bhi Jana To Aankhon Mein Khawab Bhar Lana”

Anwaar Shah said...
8 June 2013 at 02:07

great ghazal dear


Post a Comment