Thursday, 10 September 2015

Neem-Chaa Yaar Ne Jis Waqt Baghal Mein Maara Jo Char'rha Monah Use Maidaan-e-Ajal Mein Maara



Poet:Muhammad Ibrahim Zauq

Neem-Chaa Yaar Ne Jis Waqt Baghal Mein Maara

Jo Char'rha Monah Use Maidaan-e-Ajal Mein Maara


Us Lab-o-Chashm Se Hai Zindagi-o-Maut Apni

Kab-Kabhi Pal Mein Jalaya Kabhi Pal Mein Maara


Ajal Aai Na Shab-e-Hijar Mein Aur Hum Ko Falak

Be-Ajal Tu Ne Tamana-e-Ajal Mein Maara


Aankh Se Aankh Hai Lar'rti  Mujhe Dar Hai Dil Ka

Kahin Ye Jaye Na  Is Jang-o-Jadal Mein Maara


Na Howa Par Na Howa Meer Ka Andaaz Naseeb

"Zauq" Yaaron Ne Buhat Zor Ghazal Mein Maara..........!

 

0 Responses to “Neem-Chaa Yaar Ne Jis Waqt Baghal Mein Maara Jo Char'rha Monah Use Maidaan-e-Ajal Mein Maara”

Post a Comment